Saturday, March 29, 2008

this one's by someone i know, and liked
dhoop ...
khidki se chan kar aati halki bhini si dhoop..main ... baithi hun apne us kone main...khidki ke us kone main jahan meri aankhon ke saath khelti hai dhoop...perchaiyan banti hain bigadti hain...mere aas paas cheezein badalti hain..log badalte hain... aate hain jaate hain...apne saath bahut kuch late hainkuch chod jate hain.. kuch apne daaman main samet kar le jate hain...main baithi hui apne daaman ko dekhti hun..us main har rang se sarabor khilkhilati hai dhoop....khidki se chan kar aati hai dhoop...
- gunjan singh

No comments:

where the mind is without fear and the head is held high..

where the mind is without fear and the head is held high..